Aftab Hussain

karta kuchh aur hai wo dikhata kuchh aur hai

Aftab Hussain

Talagang, Punjab, Pakistan

1962
kartā kuchh aur hai vo dikhātā kuchh aur hai
dar-asl silsila pas-e-parda kuchh aur hai
har-dam taġhayyurāt kī zad meñ hai kā.enāt
dekheñ palak jhapak ke to naqsha kuchh aur hai
jo kuchh nigāh meñ hai haqīqat meñ vo nahīñ
jo tere sāmne hai tamāshā kuchh aur hai
rakh vādi-e-junūñ meñ qadam phūñk phūñk kar
ai be-ḳhabar sambhal ki ye rishta kuchh aur hai
tahrīr aur kuchh hai sar-e-matn-e-zindagī
aur hāshiye meñ hai jo havāla kuchh aur hai
har-chand dil dhaḌaktā hai pal pal ghaḌī ghaḌī
lekin jo aaj dil ko hai dhaḌkā kuchh aur hai
itnī bhī ehtiyāt na kar jaan 'āftāb'
ḳhadshe kuchh aur hote haiñ hotā kuchh aur hai
Top Urdushayar.com