Aftab Hussain

ana ko bandhta rahta hun apne sheron mein

Aftab Hussain

Talagang, Punjab, Pakistan

1962
anā ko bāñdhtā rahtā huuñ apne sheroñ meñ
balā ko bāñdhtā rahtā huuñ apne sheroñ meñ
ghuTan ke din hoñ ki jhagḌe se chalte rahte hoñ
havā ko bāñdhtā rahtā huuñ apne sheroñ meñ
mahaktī rahtī hai lafzoñ meñ koī ḳhushbū sī
sabā ko bāñdhtā rahtā huuñ apne sheroñ meñ
vo haal hai ki ḳhamoshī kalām kartī hai
sadā ko bāñdhtā rahtā huuñ apne sheroñ meñ
vo haath jaise kahīñ ab bhī dil pe rakkhā ho
hinā ko bāñdhtā rahtā huuñ apne sheroñ meñ
giraft meñ huuñ kisī but kī 'āftāb-husain'
ḳhudā ko bāñdhtā rahtā huuñ apne sheroñ meñ
Top Urdushayar.com