Aftab Hussain

nigah ke liye ek KHwab bhi ghanimat hai

Aftab Hussain

Talagang, Punjab, Pakistan

1962
nigāh ke liye ik ḳhvāb bhī ġhanīmat hai
vo tīrgī hai ki ye raushnī ġhanīmat hai
chalo kahīñ pe ta.alluq kī koī shakl to ho
kisī ke dil meñ kisī kī kamī ġhanīmat hai
kam o ziyāda pe isrār kyā kiyā jaa.e
hamāre daur meñ itnī sī bhī ġhanīmat hai
badal rahe haiñ zamāne ke rañg kyā kyā dekh
nazar uThā ki ye nazzārgī ġhanīmat hai
na jaane vaqt kī gardish dikhā.egī kyā ruḳh
guzar rahī hai jo ye zindagī ġhanīmat hai
ġham-e-jahāñ ke jhameloñ meñ āftāb 'husain'
ḳhayāl-e-yār kī āsūdgī ġhanīmat hai
Top Urdushayar.com