shab-e-siyāh pe vā raushnī kā baab to ho
magar ye shart hai koī sitāra-yāb to ho
maiñ harf ban ke tirī ruuh meñ utar jā.ūñ
mirā suḳhan tirī mahfil meñ bāryāb to ho
savād-e-shab ke safar meñ sitāra-vār chalūñ
tire jamāl kī lau merī ham-rikāb to ho
kisī tarah to ghaTe dil kī be-qarārī bhī
chalo vo chashm nahīñ kam se kam sharāb to ho
asās-e-jism uThā.ūñ na.e sire se magar
ye sochtā huuñ ki miTTī mirī ḳharāb to ho
vo 'āftāb' lab-e-bām bhī utar aa.e
magar kisī meñ use dekhne kī taab to ho