Aftab Hussain

kisi tarah bhi to wo rah par nahin aaya

Aftab Hussain

Talagang, Punjab, Pakistan

1962
kisī tarah bhī to vo raah par nahīñ aayā
hamāre kaam hamārā hunar nahīñ aayā
vo yuuñ milā thā ki jaise kabhī na bichhḌegā
vo yuuñ gayā ki kabhī lauT kar nahīñ aayā
ham aap apnā muqaddar sañvār lete magar
hamāre haath kaf-e-kūza-gar nahīñ aayā
ḳhabar to thī ki ma.āl-e-safar hai kyā lekin
ḳhayāl-e-tark-e-safar umr bhar nahīñ aayā
maiñ apnī aañkh ke rauzan se dekh saktā huuñ
vo phuul bhī jo abhī shāḳh par nahīñ aayā
abhī diloñ kī tanāboñ meñ saḳhtiyāñ haiñ bahut
abhī hamārī duā meñ asar nahīñ aayā
Top Urdushayar.com