Mustafa Zaidi

nagar nagar mele ko gae kaun sunega teri pukar

Mustafa Zaidi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1929-1970
nagar nagar mele ko ga.e kaun sunegā terī pukār
ai dil ai dīvāne dil! dīvāroñ se sar de maar
ruuh ke is vīrāne meñ terī yaad hī sab kuchh thī
aaj to vo bhī yuuñ guzrī jaise ġharīboñ kā tyauhār
us ke vaar pe shāyad aaj tujh ko yaad aa.e hoñ vo din
ai nādān ḳhulūs ki jab vo ġhāfil thā ham hushyār
pal pal sadiyāñ biit ga.iiñ jaane kis din badlegī
ek tirī āhista-ravī ek zamāne kī raftār
pichhlī fasl meñ jitne bhī ahl-e-junūñ the kaam aa.e
kaun sajā.egā terī mashq kā sāmāñ ab kī baar?
sub.h ke nikle dīvāne ab kyā lauT ke ā.eñge
Duub chalā hai shahr meñ din phail chalā hai sāya-e-dār
Top Urdushayar.com