kamī rakhtā huuñ apne kaam kī takmīl meñ
mabādā aap kho jā.ūñ kahīñ tamsīl meñ
bahut shiddat rahī pahle kanār-e-chashm tak
umaD aayā hai ab vo sail rūd-e-nīl meñ
makān-e-jāñ laraztā hai havā-e-hijr se
charāġh-e-yād ko rakkheñge kis qindīl meñ
ye ghaḌiyāñ aah pe mujh se gurezāñ haiñ agar
to phir maiñ kyuuñ rahūñgā vaqt kī tahvīl meñ
azāb-e-barq-o-bārāñ thā añdherī raat thī
ravāñ thiiñ kashtiyāñ kis shaan se is jhiil meñ