Aftab Hussain

kisi nazar ne mujhe jam par lagaya hua hai

Aftab Hussain

Talagang, Punjab, Pakistan

1962
kisī nazar ne mujhe jaam par lagāyā huā hai
so kartā rahtā huuñ jis kaam par lagāyā huā hai
ġhalat paḌe na kahīñ pahlā hī qadam ye hamārā
ki ham ne aañkh ko anjām par lagāyā huā hai
tamām shahr musharif-ba-kufr ho ke rahegā
ye jis qimāsh ke islām par lagāyā huā hai
lagā rakhe haiñ hazāroñ hī apne kaam par us ne
hameñ bhī koshish-e-nākām par lagāyā huā hai
pilātā rahtā huuñ din-rāt apnī aañkh se paanī
shajar ye dil meñ tire naam par lagāyā huā hai
vo aur hoñge jo ārām se guzār rahe haiñ
hameñ to us ne kahīñ laam par lagāyā huā hai
Top Urdushayar.com