ga.e manzaroñ se ye kyā uḌā hai nigāh meñ
koī aks hai ki ġhubār sā hai nigāh meñ
hamā-vaqt apnī shabīh ke huuñ maiñ rū-ba-rū
koī ashk hai ki ye ā.īna hai nigāh meñ
koī shahr-e-ḳhvāb guzar rahā hai ḳhayāl se
koī dasht-e-shām sulag rahā hai nigāh meñ
kaf-e-dard se ġham-e-kā.enāt kī gard se
vahī miT rahā hai jo naqsh sā hai nigāh meñ
koī tīrgī hai furāt-e-jāñ meñ ravāñ-davāñ
magar ik charāġh sā tairtā hai nigāh meñ
ga.e mausamoñ kī vo sabz rañg hikāyateñ
koī āb-e-surḳh se likh gayā hai nigāh meñ