Aftab Hussain

main sochta hun agar is taraf wo aa jata

Aftab Hussain

Talagang, Punjab, Pakistan

1962
maiñ sochtā huuñ agar is taraf vo aa jaatā
charāġh-e-umr kī lau ik zarā baḌhā jaatā
ajiib bhūl-bhulayyāñ hai rāsta dil kā
yahāñ to ḳhizr bhī hotā to Dagmagā jaatā
so apne haath se diiñ bhī gayā hai duniyā bhī
ki ik sire ko pakaḌte to dūsrā jaatā
magar nahīñ hai vo masrūf-e-nāz itnā bhī
kabhī kabhī to koī rābta kiyā jaatā
kabhī vo paas bulātā to ye dil-e-durvesh
bas ik ishāra-e-abrū pe jhūmtā jaatā
palaT rahā huuñ usī yār-e-mehrbāñ kī taraf
ab is qadar bhī nahīñ bevafā huā jaatā
palaT gayā inhīñ qadmoñ se 'āftāb-husain'
kahāñ talak vahī hālāt dekhtā jaatā
Top Urdushayar.com