zarā sī der ko chamkā thā vo sitāra kahīñ
Thahar gayā hai nazar meñ vahī nazāra kahīñ
kahīñ ko khīñch rahī hai kashish zamāne kī
bulā rahā hai tirī aañkh kā ishāra kahīñ
ye lahr bahr jo miltī hai har taraf dil meñ
badal gayā hī na ho zindagī kā dhārā kahīñ
ye soch kar bhī to us se nibāh ho na sakā
kisī se ho bhī sakā hai mirā guzāra kahīñ
ravāñ-davāñ raho har-chand 'āftāb-husain'
dikhā.ī detā nahīñ duur tak kināra kahīñ