dekhe koī ta.alluq-e-ḳhātir ke rañg bhī
us fitna-ḳhū se pyaar bhī hai aur jañg bhī
dil hī nahīñ hai us ke tasavvur meñ shād-kām
ik sarḳhushī meñ jhūmtā hai añg añg bhī
kuchh rabt-e-ḳhās asl kā zāhir ke saath hai
ḳhushbū uḌe to uḌtā hai phūloñ kā rañg bhī
aisā nahīñ ki aaTh pahar be-dilī rahe
bajte haiñ ġham-kade meñ kabhī jal-tarañg bhī
dekhā hai aaj us ne mujhe muḌ ke 'āftāb'
is vāqiye pe ḳhush bhī huuñ maiñ aur dañg bhī