Aftab Hussain

asl haalat ka bayan zahir ke sanchon mein nahin

Aftab Hussain

Talagang, Punjab, Pakistan

1962
asl hālat kā bayāñ zāhir ke sāñchoñ meñ nahīñ
baat jo dil meñ hai mere mere lafzoñ meñ nahīñ
ik zamāna thā ki ik duniyā mire hamrāh thī
aur ab dekhūñ to rasta bhī nigāhoñ meñ nahīñ
koī āseb-e-balā hai shahr par chhāyā huā
bū-e-ādam-zād tak ḳhālī makānoñ meñ nahīñ
rafta rafta sab hamārī raah par aate ga.e
baat hai jo ham buroñ meñ achchhe achchhoñ meñ nahīñ
apne hī dam se charāġhāñ hai vagarna 'āftāb'
ik sitāra bhī mirī vīrān shāmoñ meñ nahīñ
Top Urdushayar.com