ghaḌī ghaḌī use roko ghaḌī ghaḌī samjhāo
magar ye dil hai ki kuchh dekhtā hai aao na taao
ab us ke dard ko dil meñ liye taḌapte ho
kahā thā kis ne ki us ḳhush-nazar se aañkh milāo
ajab tarah ke jhamele haiñ ishq meñ sāhab
barat sako to ho ma.alūm aaTe daal kā bhaav
chalo vo aglā sā josh-o-ḳharosh to na rahā
magar ye kyā ki milo aur haath bhī na milāo
nazar hai shart haqīqat ko dekhne ke liye
ki har bigāḌ meñ hote haiñ sau tarah ke banāv
hamāre haal kā kyā hai sudhar hī jā.egā
magar ye baat ki tum apnī uljhī laT suljhāo
hamārī umr bhī guzrī hai is ḳharābe meñ
kahāñ ke hote haiñ ye log ahl-e-ishq haTāo
kabhī khilo bhī ye kyā hai ki 'āftāb-husain'
paḌe raho yūñhī ghar par kisī ke aao na jaao