jab havā shab ko badaltī huī pahlū aa.ī
muddatoñ apne badan se tirī ḳhushbū aa.ī
mere naġhmāt kī taqdīr na pahuñche tujh tak
merī fariyād kī qismat ki tujhe chhū aa.ī
apnī āñkhoñ se lagātī haiñ zamāne ke qadam
shahar kī rāh-guzāroñ meñ mirī ḳhū aa.ī
haañ namāzoñ kā asar dekh liyā pichhlī raat
maiñ idhar ghar se gayā thā ki udhar tū aa.ī
muzhda ai dil kisī pahlū to qarār aa hī gayā
manzil-e-dār kaTī sā.at-e-gesū aa.ī