har phuul hai havāoñ ke ruḳh par khilā huā
aur meñ huuñ apne ḳhvāb ke andar khilā huā
ye maiñ jo raat din nahīñ apne havās meñ
vo baaġh hai zarūr kahīñ par khilā huā
kuchh mere sar ko bhī thī mahak sī chaḌhī huī
kuchh vo bhī sāmne thā barābar khilā huā
ḳhvāboñ meñ ḳhushbueñ sī ḳhayāloñ meñ rañg se
ye baaġh ho agar kahīñ bāhar khilā huā
kin manzaroñ meñ mujh ko mahaknā thā 'āftāb'
kis regzār par huuñ maiñ aa kar khilā huā