qadam qadam pe kisī imtihāñ kī zad meñ hai
zamīn ab bhī kahīñ āsmāñ kī zad meñ hai
har ek gaam ulajhtā huuñ apne aap se maiñ
vo tiir huuñ jo ḳhud apnī kamāñ kī zad meñ hai
vo bahr huuñ jo ḳhud apne kināre chāTtā hai
vo lahar huuñ ki jo sail-e-ravāñ kī zad meñ hai
maiñ apnī zaat pe isrār kar rahā huuñ magar
yaqīñ kā khel musalsal gumāñ kī zad meñ hai
mire vajūd ke andar utartā jaatā hai
hai koī zahr jo merī zabāñ kī zad meñ hai
lagī huī hai nazar aane vaale manzar par
magar ye dil ki abhī raftagāñ kī zad meñ hai
yahī nahīñ ki faqat rizq-e-ḳhvāb band huā
gadā-e-kū-e-hunar bhī sagāñ kī zad meñ hai
ufuq ufuq jo mire nuur kā ġhubār uḌā
ye kā.enāt mire ḳhāk-dāñ kī zad meñ hai