vajūd kā inhisār go ḳhaak par nahīñ thā
magar maiñ apnī zamīñ se be-ḳhabar nahīñ thā
ajab tarah kā tilism thā is mafāriqat meñ
badan laraztā thā aur āñkhoñ meñ Dar nahīñ thā
lahū se maiñ ne diye kī lau sarfarāz rakkhī
vahāñ jahāñ par havāoñ kā bhī guzar nahīñ thā
magar bahut der baad jā kar ḳhabar huī thī
vo mere hamrāh thā mirā ham-safar nahīñ thā
so maiñ ne āḳhir laraztā pattā hadaf banāyā
ki vo parinda to aaj bhī shāḳh par nahīñ thā