Aftab Hussain

maqam-e-shauq se aage bhi ek rasta nikalta hai

Aftab Hussain

Talagang, Punjab, Pakistan

1962
maqām-e-shauq se aage bhī ik rasta nikaltā hai
kaheñ kyā silsila dil kā kahāñ par jā nikaltā hai
mizha tak aatā jaatā hai badan kā sab lahū khiñch kar
kabhī kyā is tarah bhī yaad kā kāñTā nikaltā hai
dukān-e-dil baḌhāte haiñ hisāb-e-besh-o-kam kar lo
hamāre naam par jis jis kā bhī jitnā nikaltā hai
abhī hai husn meñ husn-e-nazar kī kār-farmā.ī
abhī se kyā batā.eñ ham ki vo kaisā nikaltā hai
miyān-e-shahr haiñ yā ā.inoñ ke rū-ba-rū haiñ ham
jise bhī dekhte haiñ kuchh hamīñ jaisā nikaltā hai
ye dil kyuuñ Duub jaatā hai usī se pūchh lūñgā maiñ
sitāra shām-e-hijrāñ kā idhar bhī aa nikaltā hai
dil-e-muztar vafā ke baab meñ ye jald-bāzī kyā
zarā ruk jaa.eñ aur dekheñ natīja kyā nikaltā hai
Top Urdushayar.com