Mustafa Zaidi

kya kya nazar ko shauq-e-hawas dekhne mein tha

Mustafa Zaidi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1929-1970
kyā kyā nazar ko shauq-e-havas dekhne meñ thā
dekhā to har jamāl isī ā.īne meñ thā
qulzum ne baḌh ke chuum liye phuul se qadam
dariyā-e-rañg-o-nūr abhī rāste meñ thā
ik mauj-e-ḳhūn-e-ḳhalq thī kis kī jabīñ pe thī
ik tauq-e-fard-e-jurm thā kis ke gale meñ thā
ik rishta-e-vafā thā so kis nā-shanās se
ik dard hirz-e-jāñ thā so kis ke sile meñ thā
sahbā-e-tund-o-tez kī hiddat ko kyā ḳhabar
shīshe se pūchhiye jo mazā TūTne meñ thā
kyā kyā rahe haiñ harf o hikāyat ke silsile
vo kam-suḳhan nahīñ thā magar dekhne meñ thā
taa.ib the ehtisāb se jab saare bāda-kash
mujh ko ye iftiḳhār ki maiñ mai-kade meñ thā
Top Urdushayar.com