jis din se apnā tarz-e-faqīrāna chhuT gayā
shāhī to mil ga.ī dil-e-shāhāna chhuT gayā
koī to ġham-gusār thā koī to dost thā
ab kis ke paas jaa.eñ ki vīrāna chhuT gayā
duniyā tamām chhuT ga.ī paimāne ke liye
vo mai-kade meñ aa.e to paimāna chhuT gayā
kyā tez-pā the din kī tamāzat ke qāfile
hāthoñ se rishta-e-shab-e-afsāna chhuT gayā
ik din hisāb hogā ki duniyā ke vāste
kin sāhiboñ kā maslak-e-rindāna chhuT gayā