roktā hai ġham-e-iz.hār se pindār mujhe
mere ashkoñ se chhupā le mire ruḳhsār mujhe
dekh ai dasht-e-junūñ bhed na khulne paa.e
DhūñDne aa.e haiñ ghar ke dar-o-dīvār mujhe
sī diye hoñT usī shaḳhs kī majbūrī ne
jis kī qurbat ne kiyā mahram-e-asrār mujhe
merī āñkhoñ kī taraf dekh rahe haiñ anjum
jaise pahchān ga.ī rūh-e-shab-tār mujhe
jins-e-vīrāni-e-sahrā merī dūkān meñ hai
kyā ḳharīdegā tire shahar kā bāzār mujhe
jaras-e-gul ne ka.ī baar pukārā lekin
le ga.ī raah se zanjīr kī jhankār mujhe
nāvak-e-zulm uThā dashna-e-andoh sambhāl
lutf ke ḳhanjar-e-be-nām se mat maar mujhe
saarī duniyā meñ ghanī raat kā sannāTā thā
sehn-e-zindāñ meñ mile sub.h ke āsār mujhe