sahar jītegī yā shām-e-ġharībāñ dekhte rahnā
ye sar jhukte haiñ yā dīvār-e-zindāñ dekhte rahnā
har ik ahl-e-lahū ne bāzī-e-īmāñ lagā dī hai
jo ab kī baar hogā vo charāġhāñ dekhte rahnā
idhar se mudda.ī guzreñge īqān-e-sharī.at ke
nazar aa jaa.e shāyad koī insāñ dekhte rahnā
use tum log kyā samjhoge jaisā ham samajhte haiñ
magar phir bhī kareñge us se paimāñ dekhte rahnā
samajh meñ aa gayā terī nigāhoñ ke ulajhne par
bharī mahfil meñ sab kā ham ko hairāñ dekhte rahnā
hazāroñ mehrbāñ is rāste par saath ā.eñge
miyāñ ye dil hai ye jeb o garebāñ dekhte rahnā
dabā rakkho ye lahreñ ek din āhista āhista
yahī ban jā.eñgī tamhīd-e-tūfāñ dekhte rahnā