Zohra Naseem

ab dil hai un ke halqa-e-dam-e-jamal mein

Zohra Naseem

ab dil hai un ke halqa-e-dām-e-jamāl meñ
dekhā na thā jinheñ kabhī ḳhvāb-o-ḳhayāl meñ
ai talḳhī-e-firāq ba-juz nāla-e-alam
paayā na kuchh bhī maiñ ne umīd-e-visāl meñ
fitrat ne de ke ishq ko ehsās-e-zabt-e-shauq
uljhā diyā hai kashmakash-e-lā-zavāl meñ
bār-e-ġham-e-jahāñ bhī hai terā ḳhayāl bhī
haiñ kitnī vus.ateñ dil-e-āshufta-hāl meñ
āvāz dī hai tujh ko tasavvur ne bārhā
rāh-e-surūr meñ kabhī dasht-e-malāl meñ
apne hī dil pe kuchh nahīñ mauqūf ai 'nasīm'
har dil asiir hai ġham-e-hastī ke jaal meñ
Top Urdushayar.com