dard-e-dil bhī ġham-e-daurāñ ke barābar se uThā
aag sahrā meñ lagī aur dhuāñ ghar se uThā
tābish-e-husn bhī thī ātish-e-duniyā bhī magar
sho.ala jis ne mujhe phūñkā mire andar se uThā
kisī mausam kī faqīroñ ko zarūrat na rahī
aag bhī abr bhī tūfān bhī sāġhar se uThā
be-sadaf kitne hī dariyāoñ se kuchh bhī na huā
bojh qatre kā thā aisā ki samundar se uThā
chāñd se shikva-ba-lab huuñ ki sulāyā kyuuñ thā
maiñ ki ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb kī Thokar se uThā