maiñ toḌūñ ahd-o-paimān-e-vafā ye ho nahīñ saktā
vo hote haiñ to ho jaa.eñ judā ye ho nahīñ saktā
pilā saaqī ki shaġhl-e-mai-kashī kā vaqt jaatā hai
yūñhī chhā.ī rahe kaalī ghaTā ye ho nahīñ saktā
vo chashm-e-surmagīñ jab tak masīhā.ī na farmā.e
marīz-e-ġham ko ho jaa.e shifā ye ho nahīñ saktā
na dekhe shaiḳh tū jab tak butoñ ko merī āñkhoñ se
nazar aa.e tujhe shān-e-ḳhudā ye ho nahīñ saktā
vo baaz aa.eñ jafā-o-jaur se ye ġhair-mumkin hai
maiñ chhoḌūñ ḳhū-e-taslīm-o-razā ye ho nahīñ saktā
nadāmat ho mujhe apnī jafā par ye to mumkin hai
tirā dil ho pashīmān-e-jafā ye ho nahīñ saktā
pasandīda na ho 'sīmāb' kyuuñ tarz-e-suḳhan terī
na laa.e rañg faizān-e-humā ye ho nahīñ saktā