majbūr huuñ gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
fard-e-amal siyāh kiye jā rahā huuñ maiñ
go jāntā bhī huuñ tirā milnā muhāl hai
is par bhī terī chaah kiye jā rahā huuñ maiñ
terā fareb-e-va.ada bahut kāmyāb hai
āñkhoñ ko farsh-e-rāh kiye jā rahā huuñ maiñ
taqsīm ho rahī hai mirī vus.at-e-nazar
zarroñ ko mehr-o-māh kiye jā rahā huuñ maiñ
terā karam hī is kā muharrik na ho kahīñ
kyā jaane kyuuñ gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
mujh ko ḳhabar hai shaiḳh tujhe kuchh ḳhabar nahīñ
kyuuñ zindagī tabāh kiye jā rahā huuñ maiñ
'sīmāb' diin se bhī mire dil ko ishq hai
duniyā se bhī nibāh kiye jā rahā huuñ maiñ