husn-e-fānī par ham apnā dil fidā karte rahe
ab pashemāñ haiñ ki saarī umr kyā karte haiñ
ham samajhte haiñ janāb-e-shaiḳh kyā karte rahe
hūr-o-ġhilmāñ ke liye yād-e-ḳhudā karte rahe
zabt-e-girya zabt-e-nāla zabt-e-faryād-o-fuġhāñ
ishq meñ jo kuchh bhī ham se ho sakā karte rahe
kis tarah so.e paḌe haiñ chain se zer-e-mazār
jo zamīñ par har ghaḌī mahshar bapā karte rahe
sach agar pūchho to ham kāfir bhī haiñ momin bhī haiñ
but-kada meñ baiTh kar yād-e-ḳhudā karte rahe
maut hī āḳhir ilāj-e-kārgar sābit huī
dard-e-dil baḌhtā rahā juuñ juuñ davā karte rahe
ahl-e-himmat ne to ai 'sīmāb' manzil maar lī
ham magar hirmāñ-nasībī kā gilā karte rahe