Mohammad Naved Mirza

falak pe jitne hain tare shumar se bahar

Mohammad Naved Mirza

falak pe jitne haiñ taare shumār se bāhar
nikal na jaa.eñ kisī din madār se bāhar
tirī judā.ī kā mausam bhī ḳhūb-sūrat hai
mujhe nikāl rahā hai ḳhumār se bāhar
kisī bhī vaqt ye manzar badalne vaalā hai
dikhā.ī dene lagā hai ġhubār se bāhar
udaas rut hai abhī tak mire ta.āqub meñ
ḳhizāñ ke phuul khile haiñ bahār se bāhar
tire karam se to patthar bhī bol paḌte haiñ
nahīñ hai kuchh bhī vahāñ iḳhtiyār se bāhar
mire vajūd kā gumbad hai TūTne vaalā
nikalne vaalā huuñ maiñ is hisār se bāhar
Top Urdushayar.com