kisī aur ġham meñ itnī ḳhalish-e-nihāñ nahīñ hai
ġham-e-dil mire rafīqo ġham-e-rā.egāñ nahīñ hai
koī ham-nafas nahīñ hai koī rāz-dāñ nahīñ hai
faqat ek dil thā ab tak so vo mehrbāñ nahīñ hai
mirī ruuh kī haqīqat mire āñsuoñ se pūchho
mirā majlisī tabassum mirā tarjumāñ nahīñ hai
kisī zulf ko sadā do kisī aañkh ko pukāro
baḌī dhuup paḌ rahī hai koī sā.ebāñ nahīñ hai
inhīñ pattharoñ pe chal kar agar aa sako to aao
mire ghar ke rāste meñ koī kahkashāñ nahīñ hai