Fayyaz Farooqi

nikla jo chilmanon se wo chehra aaftabi

Fayyaz Farooqi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1967
niklā jo chilmanoñ se vo chehra āftābī
ik aan meñ ufuq kā āñchal huā gulābī
ruḳh se naqāb un ke sarkā huā hai kuchh kuchh
dīvāna kar na Daale ye nīm-be-hijābī
sau jaam kā nasha hai saaqī tirī nazar meñ
kahte haiñ bāda-kash bhī mujh ko tirā sharābī
bekār lag rahī haiñ duniyā kī sab kitābeñ
dekhī hai jab se maiñ ne sūrat tirī kitābī
murjhā.e phuul sab haiñ kaliyoñ ne sar jhukā.e
gulshan meñ ik sitam hai ye terī be-naqābī
kab chain se rahā hai ye fikr kā parinda
'fayyāz' kī hai fitrat kis darja iztirābī
Top Urdushayar.com