Fayyaz Farooqi

rah mein uski chalen aur imtihan koi na ho

Fayyaz Farooqi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1967
raah meñ us kī chaleñ aur imtihāñ koī na ho
kaise mumkin hai ki ātish ho dhuāñ koī na ho
us kī marzī hai vo mil jaa.e kisī ko bhiiḌ meñ
aur kabhī aise mile ki darmiyāñ koī na ho
jagmagātā hai sitāra ban ke tab ummīd kā
bujh ga.e hoñ sab diye aur kahkashāñ koī na ho
ḳhāna-e-dil meñ vo rahtā kab kisī ke saath hai
jalvagar hotā hai vo jab mehmāñ koī na ho
kaise mumkin hai ki qisse jis se sab vābasta hoñ
vo chale aur saath us ke dāstāñ koī na ho
saare aalam par vo likh detā hai us kā naam jab
koī ḳhud ko yuuñ miTā le ki nishāñ koī na ho
ban ke lashkar saath ho jaatā hai vo 'fayyāz' jab
ham-safar koī na ho aur kārvāñ koī na ho
Top Urdushayar.com