kahānī ho koī bhī terā qissa ho hī jaatī hai
koī tasvīr dekhūñ terā chehra ho hī jaatī hai
tirī yādoñ kī lahreñ gher letī haiñ ye dil merā
zamīñ ghir kar samundar meñ jazīra ho hī jaatī hai
ga.ī shab chāñd jaisā jab chamaktā hai ḳhayāl us kā
tamannā merī ik chhoTā sā bachcha ho hī jaatī hai
sajā hai taaj mere sar pe lekin ye nazar merī
jo us kī samt jaatī hai to kaasa ho hī jaatī hai
jatan kartā huuñ kitne rok luuñ sailāb āñkhoñ meñ
magar tāmīr merī ye shikasta ho hī jaatī hai
ye sochā hai ki tujh ko sochnā ab chhoḌ dūñgā maiñ
ye laġhzish mujh se lekin be-irāda ho hī jaatī hai
jo hai 'fayyāz' us ko dekh kar mab.hūt hairat kyā
taḌaptī hai jo bijlī aañkh ḳhīra ho hī jaatī hai