intizār-e-dīd meñ yuuñ aañkh pathrā.ī ki bas
marte marte vo huī aalam meñ rusvā.ī ki bas
dekh kar shabnam kī hālat hañs paḌī nau-ras-kalī
do-ghaḌī pattoñ pe rah kar itnā itrā.ī ki bas
dil kī dhaḌkan baḌh ga.ī āñkhoñ meñ aañsū aa ga.e
ik zarā sī baat par itnī hañsī aa.ī ki bas
maut ko bhī marne vaale par taras aa hī gayā
is tarah chaḌhtī javānī meñ qazā aa.ī ki bas
baat kaisī ab to hoñToñ par hai aahoñ kā hujūm
choT khāne par bhī aisī choT par khaa.ī ki bas
tauba karne ko to kar lī hazrat-e-'ġhavvās' ne
yak-ba-yak gardūñ pe vo kaalī ghaTā chhā.ī ki bas