agar ho chashm-e-haqīqat to dekh kyā huuñ maiñ
fanā ke rañg meñ ik jauhar-e-baqā huuñ maiñ
tilism-e-band se mushkil rihā.ī hai dil kī
hisār-e-chashm-e-fusūñ-sāz meñ ghirā huuñ maiñ
miTā miTā ke mujhe ek din miTā degā
zamāna-sāz tirī chaal jāntā huuñ maiñ
kamāl-e-ishq tasavvur hai auj par aisā
tire jamāl ko har shai meñ dekhtā huuñ maiñ
mirī talāsh meñ gum haiñ musāfirān-e-adam
hudūd-e-vahm se aage nikal gayā huuñ maiñ
talāsh jis kī hai har ik ko maiñ vo manzil huuñ
jo tai na kar sake koī vo marhala huuñ maiñ
talāsh jis kī mujhe kho chukī hai ai 'ġhavvās'
usī ko bahr-e-tahayyur meñ DhūñDhtā huuñ maiñ