Naheed Kausar

hawa ki halki si aahaT pe yun machal jaana

Naheed Kausar

havā kī halkī sī aahaT pe yuuñ machal jaanā
umīd-e-vasl pe bismil kā phir sambhal jaanā
na aa rahe the na aanā thā aur na imkāñ thā
ye zo.am-e-dil thā yā qismat kā yuuñ badal jaanā
ye dil pe bojh hai dardoñ kā yā tirī yādeñ
yā ābloñ kā harārat se hai pighal jaanā
tirī talāsh meñ uTh uTh ke pāgaloñ kī tarah
shab-e-firāq meñ ghar se kahīñ nikal jaanā
ye jānte haiñ ki mumkin nahīñ tū lauT aa.e
shi.ār-e-dil hai tirī yaad se bahal jaanā
tirī umiid kā jab sar se uTh gayā āñchal
to fasl-e-gul meñ thā yaksar ḳhizāñ meñ Dhal jaanā
abhī thī tere safīne kī muntazir 'kausar'
ajab lagā tire sāhil se yuuñ phisal jaanā
Top Urdushayar.com