ḳhvāboñ ke mahal TuuT ke gir jaate haiñ akasr
phir un se hī din apne sañvar jaate haiñ akasr
ai bād-e-sabā un ko ye paiġhām mirā de
kyuuñ chhup ke mirī rah se guzar jaate haiñ akasr
duniyā meñ har ik shai hai faqat terī kamī hai
naqshe tirī yādoñ ke ubhar jaate haiñ akasr
vo naaz uThāne ke to qaa.el hī nahīñ haiñ
phir ham bhī ḳhafā ho ke biphar jaate haiñ akasr
'kausar' tire mai-ḳhāne meñ sāġhar na subū hai
phir kyuuñ yahāñ mai-nosh Thahar jaate haiñ akasr