Tilok Chand Mahroom

ghabraiye kyun zindagi be-kaif agar hai

Tilok Chand Mahroom

Mianwali, Punjab, Pakistan

1887-1966
ghabrā.iye kyuuñ zindagī be-kaif agar hai
āḳhir shab-e-tārīk kā anjām sahar hai
vo shaam kī sūrat hai na vo rañg-e-sahar hai
kis kaukab-e-manhūs kā yārab ye asar hai
afsāna-e-ġham sīna-e-bulbul meñ hai fariyād
aurāq-e-gul-e-tar meñ ba-unvān-e-digar hai
be-dard hai insāñ to haiñ sab is ke hunar aib
hai dil meñ agar dard to har aib hunar hai
sābit hai ba-har-taur ġham-e-ishq ram-e-husn
ārām ko pūchho to idhar hai na udhar hai
masnūa ko sān.e.a se judā kar nahīñ saktā
ā.īne meñ aks-e-hunar-e-ā.ina-gar hai
rotī huī āñkhoñ meñ hai ġharqāb tabassum
punjab hai dehlī meñ jo ab rāhguzar hai
phūloñ meñ tirā rañg hai kāñToñ meñ tirī nok
ye husn tirā hai ki mirā husn-e-nazar hai
'mahrūm' magar ishq tumhārā hai riyā.ī
fariyād meñ tāsīr na aahoñ meñ asar hai
Top Urdushayar.com