badnām huuñ par āshiq-e-badnām tumhārā
nākām huuñ par tālib-e-nākām tumhārā
maiñ is ko na bechūñ evaz-e-mulk-e-sulaimāñ
hai sabt sar-e-ḳhātim-e-dil naam tumhārā
yaañ sāġhar-e-dil ḳhūn-e-tamannā se bharā hai
par bāda-e-gulgūñ se vahāñ jaam tumhārā
mahrūmī-e-qismat hai mirī ḳhaas vagarna
mash.hūr-e-jahāñ hai karam-e-ām tumhārā
jachte nahīñ nazroñ meñ mah-o-mehr ke jalve
rahtā hai tasavvur sahar-o-shām tumhārā
tum jis se phiro us se ho bargashta zamāna
dam bharne lagī gardish-e-ayyām tumhārā
ġhaflat meñ kaTī jaatī hai 'mahrūm' javānī
achchhā nazar aatā nahīñ anjām tumhārā