girya to aksar rahā paiham rahā
phir bhī dil ke bojh se kuchh kam rahā
qumqume jalte rahe bujhte rahe
rāt-bhar siine meñ ik aalam rahā
us vafā-dushman se chhuT jaane ke ba.ad
ḳhud ko pā lene kā kitnā ġham rahā
apnī hālat par hañsī bhī aa.ī thī
is hañsī kā bhī baḌā mātam rahā
itne rabt itnī shanāsā.ī ke ba.ad
kaun kis ke haal kā mahram rahā
pattharoñ se bhī nikal aayā jo tiir
vo mire pahlū meñ aa kar jam rahā
zehn ne kyā kuchh na koshish kī magar
dil kī gahrā.ī meñ ik aadam rahā