vo dil kahāñ hai ahl-e-nazar dil kaheñ jise
ya.anī niyāz-e-ishq ke qābil kaheñ jise
zanjīr-e-ġham hai ḳhud mirī ḳhvāhish kā silsila
yā zulf-e-ḳham-ba-ḳham ki salāsil kaheñ jise
miltā hai mushkiloñ se kisī ke huzūr kā
vo ek lahza ziist kā hāsil kaheñ jise
kashtī shikastgān-e-yam-e-iztirāb ko
terā hī ek naam hai sāhil kaheñ jise
paatī nahīñ faroġh ba-juz soz-o-sāz-e-ishq
sham-e-hayāt dar-ḳhur-e-mahfil kaheñ jise
is dil ko shaad rakhne kī ḳhidmat milī mujhe
ġham-hā-e-rozgār kī manzil kaheñ jise
is daur-e-qadr-dān-e-suḳhan meñ ye ittifāq
shā.ir vahī hai raunaq-e-mahfil kaheñ jise
'mahrūm' chāk-e-sīna-e-har-gul meñ hai vo chiiz
tāsīr-e-nāla-hā-e-anādil kaheñ jise