Tilok Chand Mahroom

wahi arman jaise ji jo mushkil se nikalte hain

Tilok Chand Mahroom

Mianwali, Punjab, Pakistan

1887-1966
vahī armān jaise jī jo mushkil se nikalte haiñ
ba-shakl-e-ashk-o-fariyād-o-fuġhāñ dil se nikalte haiñ
kisī meñ hausla hotā hai tūfānoñ se laḌne kā
safīne yuuñ to sab dāmān-e-sāhil se nikalte haiñ
hamāre ham-safar ham se mukaddar haiñ bas itne par
ki ham bach kar ġhubār-e-rāh-e-manzil se nikalte haiñ
ġhazab hai ai zamīñ to un hasīnoñ ko nigal jaa.e
jo husn-e-zau-fishāñ meñ māh-e-kāmil se nikalte haiñ
bharosā kuchh nahīñ 'mahrūm' anvār-masarrat kā
sharāre bhī kabhī tāroñ kī mahfil se nikalte haiñ
Top Urdushayar.com