dast-e-ḳhirad se parda-kushā.ī na ho sakī
husn-e-azal kī jalva-numā.ī na ho sakī
rañg-e-bahār de na sake ḳhārzār ko
dast-e-junūñ meñ ābla-sā.ī na ho sakī
ai dil tujhe ijāzat-e-fariyād hai magar
rusvā.ī hai agar shunavā.ī na ho sakī
mandir bhī saaf ham ne kiye masjideñ bhī paak
mushkil ye hai ki dil kī safā.ī na ho sakī
fikr-e-ma.āsh o ishq-e-butāñ yād-e-raftagāñ
in mushkiloñ se ahd-bar.ā.ī na ho sakī
ġhāfil na tujh se ai ġham-e-uqbā the ham magar
dām-e-ġham-e-jahāñ se rihā.ī na ho sakī
munkir hazār baar ḳhudā se huā bashar
ik baar bhī bashar se ḳhudā.ī na ho sakī
ḳhud zindagī burā.ī nahīñ hai to aur kyā
'mahrūm' jab kisī se bhalā.ī na ho sakī