Tilok Chand Mahroom

tair-e-dil ke liye zulf ka jal achchha hai

Tilok Chand Mahroom

Mianwali, Punjab, Pakistan

1887-1966
tā.ir-e-dil ke liye zulf kā jaal achchhā hai
hīla-sāzī ke liye dāna-e-ḳhāl achchhā hai
dil ke tālib nazar aate haiñ hasīñ har jānib
us ke lākhoñ haiñ ḳharīdār ki maal achchhā hai
tāb-e-nazzāra nahīñ go mujhe ḳhud bhī lekin
rashk kahtā hai ki aisā hī jamāl achchhā hai
dil meñ kahte haiñ ki ai kaash na aa.e hote
un ke aane se jo bīmār kā haal achchhā hai
mutma.in baiTh na ai rāh-rav-e-rāh-e-urūj
tirā rahbar hai agar ḳhauf-e-zavāl achchhā hai
na rahī be-ḳhudi-e-shauq meñ itnī bhī ḳhabar
hijr achchhā hai ki 'mahrūm' visāl achchhā hai
Top Urdushayar.com