Tilok Chand Mahroom

ghalat ki hijr mein hasil mujhe qarar nahin

Tilok Chand Mahroom

Mianwali, Punjab, Pakistan

1887-1966
ġhalat kī hijr meñ hāsil mujhe qarār nahīñ
asīr-e-yās huuñ pāband-e-intizār nahīñ
hai un ke ahd-e-vafā se munāsibat dil ko
use qayām nahīñ hai ise qarār nahīñ
yahāñ to zabt-e-junūñ par na kar mujhe majbūr
fazā-e-dasht hai ai aql bazm-e-yār nahīñ
qafas meñ Dālegā kis kis ko āḳhir ai sayyād
asīr-e-dām-e-vafā sau nahīñ hazār nahīñ
jahāñ meñ bulbul-e-bāġh-e-ḳhizāñ-nasīb huuñ maiñ
mirī navāoñ meñ rañgīnī-e-bahār nahīñ
Top Urdushayar.com