Tilok Chand Mahroom

shahr se ek taraf dur bahut

Tilok Chand Mahroom

Mianwali, Punjab, Pakistan

1887-1966
shahr se ek taraf duur bahut
aaj royā dil-e-mahjūr bahut
duur hai sub.h shab-e-ġham ai dil
hai sitāroñ maiñ abhī nuur bahut
kis ko manzūr thā rusvā honā
dil ke hāthoñ hue majbūr bahut
maut ayyām-e-javānī meñ bhī
nazar aatī thī magar duur bahut
munhasir vādī-e-sīnā pe nahīñ
jazb-e-mūsā ho agar tuur bahut
ek hī vaar ke qābil niklā
yuuñ to kahne ko haiñ mansūr bahut
tum ko kis rañj ne maarā 'mahrūm'
ki nazar aate ho ranjūr bahut
Top Urdushayar.com