Tilok Chand Mahroom

is ka gila nahin ki dua be-asar gai

Tilok Chand Mahroom

Mianwali, Punjab, Pakistan

1887-1966
is kā gila nahīñ ki duā be-asar ga.ī
ik aah kī thī vo bhī kahīñ jā ke mar ga.ī
ai ham-nafas na pūchh javānī kā mājrā
mauj-e-nasīm thī idhar aa.ī udhar ga.ī
dām-e-ġham-e-hayāt meñ uljhā ga.ī umiid
ham ye samajh rahe the ki ehsān kar ga.ī
is zindagī se ham ko na duniyā milī na diiñ
taqdīr kā mushāhida karte guzar ga.ī
anjām-e-fasl-e-gul pe nazar thī vagarna kyuuñ
gulshan se aah bhar ke nasīm-e-sahar ga.ī
bas itnā hosh thā mujhe roz-e-vidā-e-dost
vīrāna thā nazar meñ jahāñ tak nazar ga.ī
har maujh-e-āb-e-sindh huī vaqf-e-pech-o-tāb
'mahrūm' jab vatan meñ hamārī ḳhabar ga.ī
Top Urdushayar.com