āñdhī chalī to naqsh-e-kaf-e-pā nahīñ milā
dil jis se mil gayā vo dobārā nahīñ milā
ham anjuman meñ sab kī taraf dekhte rahe
apnī tarah se koī akelā nahīñ milā
āvāz ko to kaun samajhtā ki duur duur
ḳhāmoshiyoñ kā dard-shanāsā nahīñ milā
qadmoñ ko shauq-e-ābla-pā.e to mil gayā
lekin ba-zarf-e-vus.at-e-sahrā nahīñ milā
kan.āñ meñ bhī nasīb huī ḳhud-darīdgī
chāk-e-qabā ko dast-e-zuleḳhā nahīñ milā
mehr o vafā ke dasht-navardo javāb do
tum ko bhī vo ġhazāl milā yā nahīñ milā
kachche ghaḌe ne jiit lī naddī chaḌhī huī
mazbūt kashtiyoñ ko kinārā nahīñ milā