kyā sunā.eñ kisī ko haal apnā
apne dil meñ rahe malāl apnā
sharmsār-e-javāb ho na sakā
bas-ki ḳhuddār thā savāl apnā
kis ne dekhā nahīñ hai bād-e-urūj
sāya-e-charḳh meñ zavāl apnā
hasrat-e-dīd le chale ham to
aap dekhā kareñ jamāl apnā
pech-dar-pech gesu-e-mushkīñ
jā ke uljhā kahāñ ḳhayāl apnā
dil asīr-e-balā-e-zulf-e-darāz
mahv-e-fariyād baal baal apnā
maut aa.ī na iltijāoñ se
aur jiinā huā vabāl apnā
hai ye pur-dard dāstāñ 'mahrūm'
kyā sunā.eñ kisī ko haal apnā