vo aa.ī shām-e-ġham vaqf-e-balā hone kā vaqt aayā
taḌapne loTne kā dam fanā hone kā vaqt aayā
unheñ apnī jafāoñ par pashemānī huī āḳhir
sharīk-e-mātam-e-ahl-e-vafā hone kā vaqt aayā
udāsī har sahar kahtī hai mujh se bazm-e-anjum kī
uTh ai ġham-dīda uTh mahv-e-bukā hone kā vaqt aayā
tirā milnā kise miltā hai mamnūn-e-muqaddar huuñ
magar afsos milte hī judā hone kā vaqt aayā
bahār aa.ī har ik zarre se phūTī husn kī duniyā
fareb-e-mā-sivā ke haq-numā hone kā vaqt aayā
qayāmat-ḳhez hai husn-e-chaman ai bulbul-e-nālāñ
tire nāloñ se phir mahshar bapā hone kā vaqt aayā
mirī TuuTī huī kashtī thapeḌe mauj-e-tūfāñ ke
ḳhudā-e-pāk tere nāḳhudā hone kā vaqt aayā
javānī jā chukī 'mahrūm' zauq-e-ārzū kaisā
tumhāre be-niyāz-e-mudda.ā hone kā vaqt aayā